Kai arse baad aaj maine hawaaon se baatein ki.
Kabhi meri zulfen udi, toh kabhi mera dimaag.
Kabhi mera Dil thamm sa gaya, toh
Kabhi laga mera Gurda neeche gir gaya.
Rickshaw mein jo baithi thi.
Bina wajah hum kabhi daayein mud jaate,
Aur kisi kaaran varsh hum baayein.
Chhote-chhote shabd phhut-phhut ke labh se nikalte,
Jab koi dusre humein cut maar kar nikal jaate.
Rickshaw mein jo baithe thhe.
Pee-pee, paw-paw ye dhun aese bajti gayi,
Maano yeh mera chahita gaana ho.
Laal signal par, mere jaise sehme yaatri, kai dekhen.
“Andar jaaye ya nahi”, sochte hue bhagwan ke dwaar, khade mile.
Rickshaw mein jo baithe thhe.
Jaise-taise bachte-bachaate, aakhir manzil tak main pohanch hi gayi.
Dil-check, Gurda-check, Phephde-check, Haddiyan- check.
Dagmagaate hue, Yamraj ke haath maine zaroorat se zyada rishwat de di.
Kyunki Saansein usne meri, abhi baaki chhodi thi.
Rickshaw se phir main, utar gayi.
-SuVi
Comments